Monday, 2 May 2011

GHAZALS (VOL. 2)


To phir kiyon dil udass hai? 

Sab kuch tu tere pass hai
T0 phir kiyon dil udass hai?
Hai piyar bhi tere liye
Khayal bhi tere liye
Ye dil bhi tere pass hai
To phir kiyon dil udass hai?
Main sochta hoon bas tujhe
Main dekhta hoon bas tujhe
Jab mujh pe etebaar hai
To phir kiyon dil udass hai?
Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye
Ye sab jo tere pass hai
To phir kiyon dil udaas hai?
Tu neend main, tu khwab main
Tu mere dasht-o-aab main
Har pal tu mere saath hai
To phir kiyon dil udass hai?
Har simt hain gul khile houe
Hain dost bhi mile houe
Har simt piyar hi piyar hai
To phir kiyon dil udass hai?
Ye dil, khushi or etebaar
Ye dost, khwab or ye piyar
Sab kuch tu tere pass hai
To phir kiyon dil udass hai?
  





Hunsi Mazaq



ajeeb shaks tha kaisa mizaaj rkhta tha
sath reh kr b ikhtilaaf rkhta tha...


me kio na daad don us k fun ki
mere hr sawal ka pehley hi jawab rkhta tha...


wo to roshniyon ka pujari tha
mere ander nagri ka bara hi khayal rkhta tha...


mohabbat to thi usse ksi or se shayad
hm se to bus u hi hunsi mazaq rkhta tha.

RAwallpaperxpk

No comments:

Post a Comment